XtGem Forum catalog

Assalamu alaikum mere sunni junnati bhaiyo
Islam ke ibtdai daur me paida hone wale batil firko me yah rafzi aur kharji dono fikhe bade mashahur hy.
Rafzi(shia) aur kharji(nasibi) ke bare me huzur ki hadis sharif:
hazrat ali farmate hy ki mujh se huzur ne farmaya ae ali tum me hazrate isaa alehsalam ki misal hai , yahudiyo ne un se dushmani ki yahan tak ki unki maa (hazrate maryam) tohmat lagai aur isaiyon ne muhbbat ki to unhe unke martabe se aage bada diya(unhe khuda ka beta ya tisra khuda man liya) hazrate ali kehte hy ki huzur ne farmaya ki tumhare bare me bhi 2 kism ke log gumrah honge ek muhbbat me had se aage badne wale dusre woh jo tumse dushmani rakhenge aur is dushmanitki wajah se woh tum par bohtan lagaenge.(mishkat, babe ali ibne abi talib, fasle salis, safha-565)
aur yah dono firkhe islami hado ko falang gae aur ek ko hazrate ali ki be-ja muhbbat aur dusre ko unki adawat jahnnam le jaegi
Aaj hum apko rafziyon ke bare me batate hy.

Rafzi:
Inka purana naam 'shia' hy. Shia ka mana pairokar ,tarfdar aur himayti ke hy chunki yah log hazrat syed ali murtza ke tafdar,pairokar aur himayti the islie shia ke naam se jana gaya!
Fir hazrate maulae qaynat ali r.a ki muhbbat me yah log hadse aage badgae aur digar sahabae kiram khaskar khulfae salasa yani hazrate abu baqr siddiq r.a,hazrate umar faruq r.a, hazrate usmane ghani r.a ki shan me gustakhiyan karne lage.

Rafzi ke mana hy maidane jung me apne amir ko chod kar bhagne wale ke hy. Hazrat imam husain ke pote hazrate zaid bin ali ko un logo ne apna imam wa peshwa man liya tha aur unhe umwi badshah hisham bin abdul malik ke mukable par khada kar diya aur fir unse kehne lage ki hazrate abu baqr aur hazrate umar se bezari ka elan kijie(unhe bura kahiye) warna hum apko chod denge. lekin hazrate zaid ne farmaya ki maine apne khandan me kisi ko nahi dekha ki woh hazrate abu baqr aur hazrate umar ki shan me gustakhi karta ho aur fir ek hadis sharif bayan farmai: